Jis Maa ke hath se khana
khane me itne nakhre karte the,
Aaj usi Maa ke hath ka
bana khana khane ko taras jaate hai…..
Ha,
Shayad Ab Hum Bade Ho Gaye Hai.
Kisi samay hamare parents
hume padhai karne ke liye bola karte the,
Aur aaj hum apne younger
brother-sister ko padhai na karne par chillate hai….
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Kal tak 1 dairy-milk ke
liye bhi daddy se paise maangte the,
Aur aaj hazaro rupaye
bina unko kuch bataye kharch dete hai…..
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Jin brother-sister se
ladne ke liye chote-chote bahane dhundha karte the,
Aaj unhi sabse milne ke
bahane khojne padte hai……
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Bachpan me jinke kandho
par baith kar ghuma karte the,
Aaj unhi ke kandho se
kandha milakar chalne lage hai…
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Jab kahi ghumne jaane ke
liye papa ko chutti nahi mil pati thi, to bahut gussa karte the,
Aur ab, Khud mummy-papa
se milne jaane ke liye chutti ki bhikh mangte hai…..
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Pehle kisi ki yaad aati
thi to usi samay call kar lete the,
Aur aaj call karne ke
liye bhi waqt nikalna padta hai…..
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Pehle charo taraf sirf
dost hua karte the,
Aur ab dosto se kam,
collegues se zyada baatein hoti hai…..
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Pehle kabhi bhi bimaar
padh jaane ki azadi thi,
Aur ab, sick hone ke liye
bhi permission leni padti hai…..
Ha, Shayad Ab Hum
Bade Ho Gaye Hai.
Pehle 31st
was juz another normal day for us,
And now, current month ki
31st aate hi next
month ki 31st ka
wait karte hai….
Ha, Sach me Ab Hum Bade Ho Gaye Hai.
No comments:
Post a Comment